The best story in hindi
-->
Skip to main content
Jogiya Da aur Hariya Kaka ka lockdown
Aur fir baad me dono hi apne-apne kaam me kud pada. Ek ne din hajira kaam me jut gaya aur dusere ne hotel khol liya. Abhi dono hi apne-apne kaam karke poriwar ko chalana suru kia. Hariya kaka apne poriwar ko chalane ke liye edhar-udhar din hajira karke ghumte firte the, aur dusri taraf Jogiya da ne hotel kholke hotel ka malik ban gaya ,abhi Jogiya da hotel naam se seher me famous ho gaya. Aise hi Jogiya da ki hotel me aadmio ne chai-mithai khake bahut sontust ho jate the aur mithai bech ke bahut sare dhon ek-khta karne me safal rahe.
Lekin dusri or Hariya Kaka to din hajira karke ek time ka khana juta pate the jaise-taise karke. Dono ke bich aise hi apna-apna kaam chalta raha. Tabi kuch samai-shya me pade Hariya Kaka ne kuch paisa mangne ke liye Jogiya da ke pass chala aaya , paisa ka baat bolte hi Jogiya da ne turant bol diya ki mere paas paisa to nahi he mai to jaise-taise chal raha hun. Baat sunke Hariya Kaka ne ghor lot aaye , darasal Harya Kaka ki ek ladki ka pet ka dard tha to operation karne ke liye kuch paisa ki jarurat tha isliye Kaka ne Jogiya da ke pass gaya tha.
Lekin kisi bhi prakar se Hariya Kaka ne apne dost Jogiya da se help nahi mil paya. Us Hariya Kaka ko bahut hi dukh hua. Bachapan se khel kud kar dono bada huye aur ek hi saath ek hi gaon me lekin Hariya Kaka ko samaj me nahi aaya ki mera aisa din dekh ne ko padega. Agar pehele hi jan pata ki dost aisa bhi hota to pehele se hi sambhal jata. Abhi to Jogiya da ke bina Hariya Kaka akela pad gaya.
Hariya Kaka ne sob kuch vul ke kuch din gujar jane ke baad probhu ki kripa se ladki ki pet ki bimar opertion kiye bina hi thik ho gaya. Haria Kaka ki ghor dhan kher se banaya mati ke uppar me the, apne patni aur do ladki ek chota garib poriwar. Agar ek din bhi Hariya Kaka ne kaam pe nahi gaya to us ke ghor me chullah nahi jalata he aise poristi ke bich me bhi Hariya Kaka ne apne aapko kabhi bhi garib hone ka ahesas nahi diya.
Gaon ke log jawan, ladka-ladki, chota bacha bhi sabhi koyi log Hariya Kaka bolke bulate the aur sabhi ke liye wo khas ho gaye the aise hi ek din Hariya Kaka ko Ramduwar gaon ke mukhial bana diya aur abhise gaon me pine ka pani ki subidha, rasta thik karne ka kaam, ladka-ladki ki sadi, school me acha se padai karne ka kaam, anath bachhe ka ek aashram banana, gaon me bijli ki saplai karne ka kaam sampurno dayityo abhise Hariya Kaka ke hatho pe sopa gaya.
Aise hi kaam dham sob thik thak karne lage bahut saal bit gaya sob kuch thik thak chal raha tha ek din achanak chin desh se ek bahut janlewa karuna virus fhelte huye Bharat me aa gaya aur is janlewa virus se bachne ke liya sarkar ne "LOCKDOWN" pure Bharat me ghosna kar diya, gaon-seher, nagar sabhi me lackdown koi aadmi ghor se bahar nahi ja payega kuch jaruri kaam ke alawa.
Tabhi se gaon bashi logo ka duty band ho gaya sath hi gaon ,saher-nagar ki dukan-karkhana bhi bandh ho gaya kuch din tak aise bandh chal ta rahega jab tak koruna ka safai puri tarh se na ho jaye , Tabhi gaon ki mukhiya Hariya Kaka ne sarkar se gaon bashio ko chalne ke liye chawal-ata ka reson maguwaya aur aise kisi ko ashubidha na hote apne-apne ghoro me jibon bitane lage.
Uske baad Hariya Kaka ka dost Jogiya da ka hotel samucha bodh korna pada kyun ki hotel ka ek kormo chari ka sarir kuch thik nahi tha to doctor ke pass cheque karwaya to positive paya gaya isliye hotel ko sarkar ne bandh kar diya. Abhi to hotel bondh ho gaya income kaha se aayega poriwar ko kaise chayenge Jogiyada ki charo taraf se muskile badne lagi, baat yea he ki Jogiya da ne bandhan bank se lakh rupaiya loan leke hi hotel business arambh kiya tha aur har mahina ko kisti dena padta he lekin aisa din bhi aayega Jogiya da ne socha nahi tha.
Hotel khol ne mai kuch saal hua hi he aur abhi to loan chukana padega , kaise loan chukaon haath me kuch bacha tha wo bhi kisti deke khatam ho gaya abto chinta satane laga he .Abto Jogiya da ki jibon pani me hans nahi chalne ki barabar ho gaya.
Bahut samoy bit jane ke baad Jogiya da ki maan me uske apne purane dost Ramduwar me jo he Hariya Kaka ki yaad aaye . Usko pata chala ki Hariya Kaka abhi Ramduwar gaon ki ek pradhan mukhiya ban gaya he. Aur ek baat, ek baar to Hariya Kaka ne mere pass help maangne aaya tha aur maine paisa dene se inkaar kar diya agar abhi mai uske paas help mangne jaon to thik hoga janu.
Uske baad din bit jane se Jogiya da ka poristi bahut hi kharab hote gaya ghor me khane ko chawal totha ek dana bhi ab nahi bacha he aise kuch rasta nahi dikha to Jogiya da ne Ramduwar gaon se 5 kilomittre duri par Hariduwar gaon me logo ke ghor-ghor me maang ke fir ghor ko bapas lot aate , ek time tha jo Jogiya da hotel ki malik tha aaj jamana badal gaya vikh maange ke khane pad raha he , thora din bit jane ke baad Jogiya da ek din Ramduwar gaon me vikh mangne chola gaya aur saam ko jab wo ghor ko bapas aate achanak gaon ki mukhiyal Hariya Kaka se mulakat ho gaya aur tabhi Hariya Kaka ne apne dost Jogiya da ko apne ghor le aaya.
Bahut samoy se dono ki bich me baat-chit chalata raha aur baad me Hariya Kaka ne Jogiya da ka dukh samajh ke dost ki ghor ki sara kharcha aur loan ki kisti ka udhaar bhi dene ka wada kiya.
Tabhi apna bhul ko dekhte huye Jogiya da ne dost se mafi mangi aur rone laga, Haroia Kaka ka charan chuke kaha ki..............
"Soch me aadmi ki jibon me ahankar hi patan hone ka karon hota he, baat ko sunte hi hariaya kaka ne bade hi pyar se kaha time sobka aata he kal ko tumahara din tha aaj mera din he."
Comments
Post a Comment